mahbuba aur maut
mahbūba aur maut meñ ik mumāsalat hai
ki mujhe donoñ se mohabbat hai
ai maut kyā batā.ūñ ki
tere jaisā kaun hai
ki jis se mujh ko pyaar hai
ki us pe sab nisār hai
maiñ chāhtā huuñ us ko bhī
terī tarah terī tarah
haañ vo bhī tere jaisī hai
maiñ DhūñDhtā huuñ donoñ ko
ḳhalāoñ meñ fazāoñ meñ
ai maut ab kahāñ hai tū
kidhar maiñ DhūñDhtā phirūñ
kabhī qarīb aa.e to
kabhī haañ muskurā.e to
magar na samjhe mujh ko to
na e'tibār mujh pe ho
to baat maane auroñ kī
tabīb kī hakīm kī
kahīñ jo ġhair sun le to
sune na merī baat to
ajiib baat hai bhī ye
lagāo nā gale kabhī
na de mujhe to pyaar hī
ye kaisī bebasī mirī
na to mile na priit hī
ye donoñ ek jaisī haiñ
mujhe samajhtī hī nahīñ
mahbuba aur maut mein ek mumasalat hai
ki mujhe donon se mohabbat hai
ai maut kya bataun ki
tere jaisa kaun hai
ki jis se mujh ko pyar hai
ki us pe sab nisar hai
main chahta hun us ko bhi
teri tarah teri tarah
han wo bhi tere jaisi hai
main DhunDhta hun donon ko
KHalaon mein fazaon mein
ai maut ab kahan hai tu
kidhar main DhunDhta phirun
kabhi qarib aae to
kabhi han muskurae to
magar na samjhe mujh ko to
na e'tibar mujh pe ho
to baat mane auron ki
tabib ki hakim ki
kahin jo ghair sun le to
sune na meri baat to
ajib baat hai bhi ye
lagao na gale kabhi
na de mujhe to pyar hi
ye kaisi bebasi meri
na to mile na prit hi
ye donon ek jaisi hain
mujhe samajhti hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.