mahbuba bhi aisi ho
duur kahīñ
koyal kī kū-kū guuñj rahī hai
niil gagan pe kaale bādal Dol rahe haiñ
aur khetoñ meñ paglī pavan
hare-bhare makke ke mukh ko chuum rahī hai
ik āshiq jo mahbūba se bichhaḌ gayā hai
ūñchī fasloñ baañs ke jhunḌoñ meñ vo us ko DhūñD rahā hai
kaash ki merā gaañv ho aisā
mahbūba bhī aisī ho
rañg-birañgī titliyāñ uḌ kar jis kā pata batātī huuñ
dur kahin
koyal ki ku-ku gunj rahi hai
nil gagan pe kale baadal Dol rahe hain
aur kheton mein pagli pawan
hare-bhare makke ke mukh ko chum rahi hai
ek aashiq jo mahbuba se bichhaD gaya hai
unchi faslon bans ke jhunDon mein wo us ko DhunD raha hai
kash ki mera ganw ho aisa
mahbuba bhi aisi ho
rang-birangi titliyan uD kar jis ka pata batati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.