mahbuba ke liye aaKHiri nazm
pahle jitnī bāteñ thiiñ vo tum se thiiñ
tere hī naam kī ek radīf se saare qāfiye
bante aur bigaḌte the
maiñ apne andhe hāthoñ se
tere jism ke pur-asrār zamānoñ kī tahrīreñ paḌh letā thā
aur phir achchhī achchhī nazmeñ ghaḌ letā thā
tū bhī to kāġhaz ke phūloñ kī mānind
har mausam meñ khil jaatī thī
or maiñ hijr-o-visāl kī ḳhushkī aur tarī par
tere liye har haal meñ zinda rah letā thā
apne liye bhī terī taraf se
saarī bāteñ kah letā thā
terī sūrat mere hone aur na hone
jāgne sone kī is dhuup aur chhāñv meñ
ek hī jaisī rahtī thī
aur merī sāñsoñ kā baḳht tumhāre hī pallū se bañdhā thā
lekin ab to terī saaḌī ke sab lahariye
mere jism ko Das bhī chuke haiñ
ab to jaao
merī purānī nazmoñ kī almārī meñ ārām se jā kar so jaao
kyūñki maiñ ab apne aap se bāteñ karnā chāhtā huuñ
pahle jitni baaten thin wo tum se thin
tere hi nam ki ek radif se sare qafiye
bante aur bigaDte the
main apne andhe hathon se
tere jism ke pur-asrar zamanon ki tahriren paDh leta tha
aur phir achchhi achchhi nazmen ghaD leta tha
tu bhi to kaghaz ke phulon ki manind
har mausam mein khil jati thi
or main hijr-o-visal ki KHushki aur tari par
tere liye har haal mein zinda rah leta tha
apne liye bhi teri taraf se
sari baaten kah leta tha
teri surat mere hone aur na hone
jagne sone ki is dhup aur chhanw mein
ek hi jaisi rahti thi
aur meri sanson ka baKHt tumhaare hi pallu se bandha tha
lekin ab to teri saDi ke sab lahariye
mere jism ko Das bhi chuke hain
ab to jao
meri purani nazmon ki almari mein aaram se ja kar so jao
kyunki main ab apne aap se baaten karna chahta hun
- Book : siip-volume-35 (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.