mahbuba ki qabr par
tirī sāñseñ hasīñ mausam ko thāme duur kī rāhoñ pe jā nikleñ
magar phir bhī mirī āñkhoñ ke sāhil par ye likkhā hai
ki tū ik din hamesha kī tarah hañstī mahaktī
shaam kī pāzeb jhankātī mire ghar lauT aa.egī
magar is ḳhvāb kī kachchī kalī jab bhī mahakne ko zarā taḌpī
to sarkash āñdhiyāñ chal deñ
so ab tū hī batā mujh ko
maiñ hāthoñ kī lakīroñ ke safar par jā.ūñ to kaise
maiñ Thahrā aks kā qaidī
jo sochoñ ke siyah parde pe tasvīreñ banātā hai
mujhe shahroñ ke jangal se kahāñ nirvān milnā thā
ye tere ḳhvāb ke andhe bayābāñ aaj merā gyaan Thahre haiñ
maiñ kāñdhoñ par azal se āsmāñ rakkhe
zamānoñ kī tahoñ meñ gum
usī pal ke dorāhe par khaḌā āvāz detā huuñ
ki jis lamhe tirī sāñseñ
hasīñ mausam ko thāme duur kī rāhoñ pe jā niklīñ
diloñ ke gumbadoñ meñ koī bhī naġhma nahīñ gūñjā
na andhī raat ke dar par kisī kī dastakeñ gūñjīñ
maiñ ḳhud pe munkashif hone ko huuñ āḳhir
ki maiñ apne ta.āqub meñ
tirī yādoñ ke dhuñdle rāstoñ kā ik musāfir huuñ
sunahre sūrajoñ kī ek chingārī kā tālib huuñ
teri sansen hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklen
magar phir bhi meri aankhon ke sahil par ye likkha hai
ki tu ek din hamesha ki tarah hansti mahakti
sham ki pazeb jhankati mere ghar lauT aaegi
magar is KHwab ki kachchi kali jab bhi mahakne ko zara taDpi
to sarkash aandhiyan chal den
so ab tu hi bata mujh ko
main hathon ki lakiron ke safar par jaun to kaise
main Thahra aks ka qaidi
jo sochon ke siyah parde pe taswiren banata hai
mujhe shahron ke jangal se kahan nirwan milna tha
ye tere KHwab ke andhe bayaban aaj mera gyan Thahre hain
main kandhon par azal se aasman rakkhe
zamanon ki tahon mein gum
usi pal ke dorahe par khaDa aawaz deta hun
ki jis lamhe teri sansen
hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklin
dilon ke gumbadon mein koi bhi naghma nahin gunja
na andhi raat ke dar par kisi ki dastaken gunjin
main KHud pe munkashif hone ko hun aaKHir
ki main apne taaqub mein
teri yaadon ke dhundle raston ka ek musafir hun
sunahre surajon ki ek chingari ka talib hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.