guDDu miyan
suniye ye ek qissa
guDDū kī sādgī kā
guDDū ke master ne
ik din ye us se pūchhā
guDDū miyāñ tumhāre
paapā kā kiyā hai pesha
peshe kā lafz sun kar
guDDū na kuchh bhī samjhā
āsān Dhañg se phir
yuuñ master ne pūchhā
guDDū tumhāre father
kā kyā hai kaam dhandā
guDDū ne ḳhāmushī se
kuchh der tak to sochā
phir totlī zabāñ meñ
āhistagī se bolā
rahte nahīñ haiñ ghar meñ
din ko to mere paapā
mammy hī sirf merī
kartī hai kaam saarā
suniye ye ek qissa
guDDu ki sadgi ka
guDDu ke master ne
ek din ye us se puchha
guDDu miyan tumhaare
papa ka kiya hai pesha
peshe ka lafz sun kar
guDDu na kuchh bhi samjha
aasan Dhang se phir
yun master ne puchha
guDDu tumhaare father
ka kya hai kaam dhanda
guDDu ne KHamushi se
kuchh der tak to socha
phir totli zaban mein
aahistagi se bola
rahte nahin hain ghar mein
din ko to mere papa
mammy hi sirf meri
karti hai kaam sara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.