mahsur tha
bahut gaD-maD the
roz-o-shab ke vo sab tāne-bāne aur
na maiñ mashshāq thā aisā
ki chādar koī bun letā
magar mahsūr thā
aur jāntā thā ye mashaqqat
kāTnā qismat meñ aayā hai
so jaise ban paḌā ye kaam bhī puurā kiyā maiñ ne
pa ab jab dekhtā huuñ
apne roz-o-shab kā hāsil
ya.anī vo chādar
to kahtā huuñ
ki ai logo!
use ham-rāh mere dafn kar denā
koī pūchhe to kah denā
are chhoḌo chalo ik chaa.e piite haiñ
bahut gaD-maD the
roz-o-shab ke wo sab tane-bane aur
na main mashshaq tha aisa
ki chadar koi bun leta
magar mahsur tha
aur jaanta tha ye mashaqqat
kaTna qismat mein aaya hai
so jaise ban paDa ye kaam bhi pura kiya main ne
pa ab jab dekhta hun
apne roz-o-shab ka hasil
yani wo chadar
to kahta hun
ki ai logo!
use ham-rah mere dafn kar dena
koi puchhe to kah dena
are chhoDo chalo ek chae pite hain
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 98)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.