mahsus karna
mujhe hasrat hai
merā nazm-karda falsafa tum ko samajh aa.e
tumheñ ye falsafa bāvar karāne ke liye mere sivā aflāk se ab koī bhī aadam nahīñ girnā
tumhāre jism se mujh tak jo duurī hai
tumheñ mālūm ho ye ek theory hai
aadam naam kā dhabbā
zamīn-o-āsmāñ kā fāsla tai kar ke tum ko sirf itnā bolne aayā huuñ
sun lo
mujhe āñkhoñ ke har vīrān sapne kī qasam hai
tumhāre jism kī taḳhlīq ke daurān jo miTTī bachī thī
usī miTTī se merī rūh-e-pechīda banī hai
harīm-e-man
barahman naam kī ūñchī pahāḌī se mohabbat naam kā jharnā nikalne tak
mujhe shūdar samajhnā
agarche maiñ tumhārī paak miTTī se banā huuñ
mujhe tasvīr karnā
hinā kī uñgliyoñ par phūTte rañgoñ se ḳhud meñ rang bharnā muskurānā
aur mujh ko soch lenā bhuul jaanā
sivā.e lams maiñ duniyā ke har jazbe kī ḳhālis shakl meñ tum ko milūñgā
DhūñDhnā
ta.avīz mat karnā mujhe apne gale kā
hamāre biich chhū lene kī āsānī nahīñ hai
harīm-e-jān
maiñ aisā sahīfa huuñ jo utrā huuñ tumhāre paak siine meñ
agar tum chāhtī ho maiñ amar ho jā.ūñ to phir
mujhe mahsūs karnā
sāhilī miTTī se aadam zaat kī taḳhlīq hone tak
mujhe hasrat hai
mera nazm-karda falsafa tum ko samajh aae
tumhein ye falsafa bawar karane ke liye mere siwa aflak se ab koi bhi aadam nahin girna
tumhaare jism se mujh tak jo duri hai
tumhein malum ho ye ek theory hai
aadam nam ka dhabba
zamin-o-asman ka fasla tai kar ke tum ko sirf itna bolne aaya hun
sun lo
mujhe aankhon ke har viran sapne ki qasam hai
tumhaare jism ki taKHliq ke dauran jo miTTi bachi thi
usi miTTi se meri ruh-e-pechida bani hai
harim-e-man
barahman nam ki unchi pahaDi se mohabbat nam ka jharna nikalne tak
mujhe shudar samajhna
agarche main tumhaari pak miTTi se bana hun
mujhe taswir karna
hina ki ungliyon par phuTte rangon se KHud mein rang bharna muskurana
aur mujh ko soch lena bhul jaana
siwae lams main duniya ke har jazbe ki KHalis shakl mein tum ko milunga
DhunDhna
tawiz mat karna mujhe apne gale ka
hamare bich chhu lene ki aasani nahin hai
harim-e-jaan
main aisa sahifa hun jo utra hun tumhaare pak sine mein
agar tum chahti ho main amar ho jaun to phir
mujhe mahsus karna
sahili miTTi se aadam zat ki taKHliq hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.