mahsus karo
raushan-dān se aatī
aadhī
raushnī kā dukh
jis kā hamal kabhī nahīñ Thahregā
mahsūs karo
kamre kī tishnagī ko
jaise kisī bākara ke
nañge badan ko palañg par sulagtā huā chhoḌ diyā gayā ho
mahsūs karo
añdhere kī zaat ko
jo kamre meñ baġhair Dhol kī thaap ke
naach rahī hai
mahsūs karo
us ghuTan ko
jis ke raushan-dān se nikalne kā rāsta raushnī ne rok rakhā hai
mahsūs karo
us tanhā.ī kā karb
jo ḳhudā kā galā ghoñTnā chāhtī hai
magar use apne haath sujhā.ī nahīñ de rahe
mahsūs kar sakte ho
to karo
añdhere ke musavvir ko
aur chhīn lo us se vo brush
jis se vo aziyyateñ painT kartā hai
raushan-dan se aati
aadhi
raushni ka dukh
jis ka hamal kabhi nahin Thahrega
mahsus karo
kamre ki tishnagi ko
jaise kisi bakara ke
nange badan ko palang par sulagta hua chhoD diya gaya ho
mahsus karo
andhere ki zat ko
jo kamre mein baghair Dhol ki thap ke
nach rahi hai
mahsus karo
us ghuTan ko
jis ke raushan-dan se nikalne ka rasta raushni ne rok rakha hai
mahsus karo
us tanhai ka karb
jo KHuda ka gala ghonTna chahti hai
magar use apne hath sujhai nahin de rahe
mahsus kar sakte ho
to karo
andhere ke musawwir ko
aur chhin lo us se wo brush
jis se wo aziyyaten painT karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.