main ab tak sochta hun
yaad hai
ik din ‘ajā.ib-ḳhāne kī
ḳhāmosh-o-bosīda 'imārat dekh kar
tum ne kahā thā
ye ik aisā kal hai
jis ko ahl-e-duniyā
aaj meñ zinda na rakh paa.e
maiñ ab tak sochtā huuñ
jis ke andar
kal ko zinda rakhte rakhte
aaj mar jaa.e
bil-āḳhir kyā vo kahlā.e
ki tum to kho ga.iiñ pal meñ binā kuchh aur farmā.e
yaad hai
ek din ‘ajaib-KHane ki
KHamosh-o-bosida 'imarat dekh kar
tum ne kaha tha
ye ek aisa kal hai
jis ko ahl-e-duniya
aaj mein zinda na rakh pae
main ab tak sochta hun
jis ke andar
kal ko zinda rakhte rakhte
aaj mar jae
bil-aKHir kya wo kahlae
ki tum to kho gain pal mein bina kuchh aur farmae
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 105)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.