main abdullah soch raha hun
sadiyoñ pahle
apne purkhe
jangal vīrānoñ meñ rahte
sāñpoñ aur ḳhūñḳhār darindoñ
se bach-bach kar
yā laḌ-laḌ kar
zinda rahne ke saare gur siikh ga.e the
aaj kī duniyā meñ ham ne bhī
sachchā jhūTā saath nibhā kar
dhoka de kar dhokā khā kar
apnoñ aur begānoñ se bhī
yā qurbat yā duurī rakh kar
zinda rahnā siikh liyā hai
farq hai itnā
ik ḳhūñḳhār darinde kā to
apnī khaal se bāhar aanā
bhes badalnā nā-mumkin thā
purkhoñ kā us ko pahchān ke us se bachnā
koī mushkil kaam nahīñ thā
lekin aaj ke andhe yug meñ
sab insānoñ ke chehroñ par
kitne chehre chaḌhe hue haiñ
un ke aslī ruup ko ham kaise pahchāneñ
kaise un se ḳhud ko bachā.eñ
is kā ham ko gyaan nahīñ hai
maiñ 'abdullāh' soch rahā huuñ
jangal vīrānoñ ke baasī apne purkhoñ kā jīvan to
aaj ke yug meñ apne jīvan
ke aage āsān bahut thā
sadiyon pahle
apne purkhe
jangal viranon mein rahte
sanpon aur KHunKHar darindon
se bach-bach kar
ya laD-laD kar
zinda rahne ke sare gur sikh gae the
aaj ki duniya mein hum ne bhi
sachcha jhuTa sath nibha kar
dhoka de kar dhoka kha kar
apnon aur beganon se bhi
ya qurbat ya duri rakh kar
zinda rahna sikh liya hai
farq hai itna
ek KHunKHar darinde ka to
apni khaal se bahar aana
bhes badalna na-mumkin tha
purkhon ka us ko pahchan ke us se bachna
koi mushkil kaam nahin tha
lekin aaj ke andhe yug mein
sab insanon ke chehron par
kitne chehre chaDhe hue hain
un ke asli rup ko hum kaise pahchanen
kaise un se KHud ko bachaen
is ka hum ko gyan nahin hai
main 'abdullah' soch raha hun
jangal viranon ke basi apne purkhon ka jiwan to
aaj ke yug mein apne jiwan
ke aage aasan bahut tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.