main apni nazmen wapas lene ko tayyar hun
merī nazmoñ ne
kuchh logoñ se lā-parvā.ī bartī hai
merī nazmoñ ne
kuchh logoñ ko aziyyat pahuñchā.ī hai
merī nazmoñ ne
kuchh logoñ ko maar Daalā hai
maiñ apnī saarī nazmeñ vāpas lene ko tayyār huuñ
mujhe sab logoñ se muāfī chāhiye
taaki maiñ bardāsht kar sakūñ
duniyā kī lāparvā.ī
aziyyat se taḌaptā huā dil
aur apnī maut
meri nazmon ne
kuchh logon se la-parwai barti hai
meri nazmon ne
kuchh logon ko aziyyat pahunchai hai
meri nazmon ne
kuchh logon ko mar Dala hai
main apni sari nazmen wapas lene ko tayyar hun
mujhe sab logon se muafi chahiye
taki main bardasht kar sakun
duniya ki laparwai
aziyyat se taDapta hua dil
aur apni maut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.