main aur mera fan
kis ko ik sūkhe kuñ.eñ se hogī sairābī kī aas
jis meñ paanī hī na ho kyā bujh sakegī us se pyaas
merī hastī bhī rahī hai aaj tak mahrūm-e-āb
mujh se rangīnī ke chashmoñ ne kiyā hai ijtināb
phir bhī logoñ ko tavaqqo hai ki merī shā.erī
un ke dil meñ husn kī rahne na degī tishnagī
aur ye sach bhī hai ki merā fan hai aisā kohsār
jis se phūTe haiñ sadā ra.anā.iyoñ ke ābshār
kis ko ek sukhe kunen se hogi sairabi ki aas
jis mein pani hi na ho kya bujh sakegi us se pyas
meri hasti bhi rahi hai aaj tak mahrum-e-ab
mujh se rangini ke chashmon ne kiya hai ijtinab
phir bhi logon ko tawaqqo hai ki meri shaeri
un ke dil mein husn ki rahne na degi tishnagi
aur ye sach bhi hai ki mera fan hai aisa kohsar
jis se phuTe hain sada ranaiyon ke aabshaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.