main aur tu
ḳhudā-vand.... mujh meñ kahāñ hausla hai
ki maiñ tujh se nazreñ milā.ūñ
tirī shaan meñ kuchh kahūñ
tujhe apnī nazroñ se nīche girā.ūñ
ḳhudā-vand mujh meñ kahāñ hausla hai
ki tū
roz-e-avval se pahle bhī maujūd thā
aaj bhī hai
hamesha rahegā
aur maiñ
merī hastī hī kyā hai
aaj huuñ
kal nahīñ huuñ
ḳhudā-vand mujh meñ kahāñ hausla hai
magar aaj ik baat kahnī hai tujh se
ki maiñ aaj huuñ
kal nahīñ huuñ
ye sach hai magar
koī aisā nahīñ hai
ki jo mere hone se inkār kar de
kisī meñ ye jur.at nahīñ hai
magar tū
bahut log kahte haiñ tujh ko
ki tū vahm hai
aur kuchh bhī nahīñ hai
KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
ki main tujh se nazren milaun
teri shan mein kuchh kahun
tujhe apni nazron se niche giraun
KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
ki tu
roz-e-awwal se pahle bhi maujud tha
aaj bhi hai
hamesha rahega
aur main
meri hasti hi kya hai
aaj hun
kal nahin hun
KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
magar aaj ek baat kahni hai tujh se
ki main aaj hun
kal nahin hun
ye sach hai magar
koi aisa nahin hai
ki jo mere hone se inkar kar de
kisi mein ye jurat nahin hai
magar tu
bahut log kahte hain tujh ko
ki tu wahm hai
aur kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.