main aur tu
maiñ vo jhūTā huuñ
ki apnī shā.erī meñ āñsuoñ kā zikr kartā huuñ
magar rotā nahīñ
āsmāñ TuuTe
zamīñ kāñpe
ḳhudā.ī mar miTe
mujh ko dukh hotā hai
maiñ vo patthar huuñ ki jis meñ koī chiñgārī nahīñ
vo payambar huuñ ki jis ke dil meñ bedārī nahīñ
tum mujhe itnī haqārat se na dekho
ain-mumkin hai ki tum merā hayūlā dekh kar
ġhaur se pahchān kar
apnī āñkheñ phoḌ lo
aur maiñ ḳhālī nigāhoñ se tumheñ taktā rahūñ
āgahī mujh ko piyārī thī
magar is kā ma.aal
zindagī bhar kā vabāl
ab liye phirtā huuñ apne zehn meñ sadiyoñ kā bojh
kuchh izāfa is meñ tum kar do
ki shāyad koī talḳhī aisī baaqī rah ga.ī ho
jis ko maiñ ne aaj tak chakkhā nahīñ
main wo jhuTa hun
ki apni shaeri mein aansuon ka zikr karta hun
magar rota nahin
aasman TuTe
zamin kanpe
KHudai mar miTe
mujh ko dukh hota hai
main wo patthar hun ki jis mein koi chingari nahin
wo payambar hun ki jis ke dil mein bedari nahin
tum mujhe itni haqarat se na dekho
ain-mumkin hai ki tum mera hayula dekh kar
ghaur se pahchan kar
apni aankhen phoD lo
aur main KHali nigahon se tumhein takta rahun
aagahi mujh ko piyari thi
magar is ka maal
zindagi bhar ka wabaal
ab liye phirta hun apne zehn mein sadiyon ka bojh
kuchh izafa is mein tum kar do
ki shayad koi talKHi aisi baqi rah gai ho
jis ko main ne aaj tak chakkha nahin
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 621)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.