main aur tu
ik albelī pagDanDī hai
uftāñ ḳhezāñ girtī paḌtī nadī kināre utrī hai
nadī kināre bāheñ khole ik albelā peḌ khaḌā hai
peḌ ne rasta rok liyā hai
pagDanDī hairān khaḌī hai
jism churā.e aañkh jhukā.e
daa.eñ baa.eñ dekh rahī hai
jaane kab se bāheñ khole rasta roke peḌ khaḌā hai
jaane kab se
jism churā.e aañkh jhukā.e pagDanDī hairān khaḌī hai
ek albeli pagDanDi hai
uftan KHezan girti paDti nadi kinare utri hai
nadi kinare bahen khole ek albela peD khaDa hai
peD ne rasta rok liya hai
pagDanDi hairan khaDi hai
jism churae aankh jhukae
daen baen dekh rahi hai
jaane kab se bahen khole rasta roke peD khaDa hai
jaane kab se
jism churae aankh jhukae pagDanDi hairan khaDi hai
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.