main aur wo dusra aadmi
jaao jaao mujhe niiñd aa.ī hai sone do mujhe
din guzar jaatā hai lafzoñ kā ta.āqub karte
aur jab raat ko thak haar ke gir paḌtā huuñ
tum chale aate ho aḳhbār liye
tum ko ab yaad nahīñ
kal ke aḳhbār meñ bhī thiiñ yahī saarī ḳhabreñ
balki parsoñ se yahī ḳhabreñ dhaḌā-dhaḌ har ik aḳhbār meñ chhaptī haiñ
paḌhī jaatī haiñ
kal kī ḳhabreñ bhī lage haath sunā Daalo abhī
phir kahīñ jā ke maro tum bhī mujhe sone do
sub.h ko phir mujhe lafzoñ ke ta.āqub meñ nikalnā hogā
jao jao mujhe nind aai hai sone do mujhe
din guzar jata hai lafzon ka taaqub karte
aur jab raat ko thak haar ke gir paDta hun
tum chale aate ho aKHbar liye
tum ko ab yaad nahin
kal ke aKHbar mein bhi thin yahi sari KHabren
balki parson se yahi KHabren dhaDa-dhaD har ek aKHbar mein chhapti hain
paDhi jati hain
kal ki KHabren bhi lage hath suna Dalo abhi
phir kahin ja ke maro tum bhi mujhe sone do
subh ko phir mujhe lafzon ke taaqub mein nikalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.