main aur wo
maiñ tanhā thā
maiñ tanhā huuñ
maiñ tanhā hī rahūñ shāyad
mire kamre kī dīvāreñ
mujhe khāne ko aatī haiñ
abhī kuchh der pahle
log milne ko bahut aa.e
abhī kuchh aur ā.eñge
mire aur un ke sab ke darmiyāñ
dīvār haa.il hai
magar vo maiñ jise chāhūñ
ki aa jaa.e
na aa.egī
main tanha tha
main tanha hun
main tanha hi rahun shayad
mere kamre ki diwaren
mujhe khane ko aati hain
abhi kuchh der pahle
log milne ko bahut aae
abhi kuchh aur aaenge
mere aur un ke sab ke darmiyan
diwar hail hai
magar wo main jise chahun
ki aa jae
na aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.