main bilkul Thik hun sohni
tumhārā ek message whatsapp par muddatoñ ke ba.ad aayā thā
ye likkhā thā ki
busy thā maiñ so reply na kar paayā
zarā us vaqt kuchh sāñsoñ kī tuġhyānī sī barpā thī
mujhe kuchh dhaḌkanoñ ko bhī zarā tartīb denā thā
mobile scrēn us vaqt dhundlī ho ga.ī thī kuchh
busy thā maiñ so reply na kar paayā
so sorry ai mirī sohnī
suno tum ne ye likkhā thā ki
maiñ bilkul Thiik huuñ sohnī
tumhārī yaad hī aatī nahīñ mujh ko
so bilkul Thiik rahtā huuñ
magar haañ jab zarā maiñ saañs letā huuñ
zarā jab dil dhaḌaktā hai
to phir tum yaad aatī ho
magar is ke alāva Thiik rahtā huuñ
zarā sar meñ tanāv kī sī kaifiyyat to rahtī hai
ragoñ meñ bhī khiñchāo sā zarā rahtā hai ab aksar
magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī
zarā jab saañs letā huuñ to andar kuchh chubhan sī hone lagtī hai
kahīñ kuchh zaḳhm sā hogā
magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī
zarā bas dil dhaḌaktā hai to siine meñ kisī kī siskiyāñ mujh ko sunā.ī dene lagtī haiñ
magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī
are haañ kal maiñ ā.īne ke aage jab zarā aayā
vahāñ ik ajnabī chehra nazar aayā
bahut hī zard sā chehra
aur us kī aañkh ke halqe meñ gaDDhe se nazar aa.e
ajab vahshat Tapaktī thī
vahāñ se bhaag aayā maiñ
magar baaqī sabhī kuchh Thiik hai sohnī
suno phir bhī maiñ kal ik doctor se ehtiyātan mil bhī aayā huuñ
vo kahte haiñ ki ghabrāne kī koī baat bilkul bhī nahīñ is meñ
zarā bas saañs tham jaa.e
zarā dhaḌkan bhī jam jaa.e
to phir sab kuchh hamesha ke liye hī Thiik ho jaa.e
tumhaara ek message whatsapp par muddaton ke baad aaya tha
ye likkha tha ki
busy tha main so reply na kar paya
zara us waqt kuchh sanson ki tughyani si barpa thi
mujhe kuchh dhaDkanon ko bhi zara tartib dena tha
mobile screen us waqt dhundli ho gai thi kuchh
busy tha main so reply na kar paya
so sorry ai meri sohni
suno tum ne ye likkha tha ki
main bilkul Thik hun sohni
tumhaari yaad hi aati nahin mujh ko
so bilkul Thik rahta hun
magar han jab zara main sans leta hun
zara jab dil dhaDakta hai
to phir tum yaad aati ho
magar is ke alawa Thik rahta hun
zara sar mein tanaw ki si kaifiyyat to rahti hai
ragon mein bhi khinchao sa zara rahta hai ab aksar
magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni
zara jab sans leta hun to andar kuchh chubhan si hone lagti hai
kahin kuchh zaKHm sa hoga
magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni
zara bas dil dhaDakta hai to sine mein kisi ki siskiyan mujh ko sunai dene lagti hain
magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni
are han kal main aaine ke aage jab zara aaya
wahan ek ajnabi chehra nazar aaya
bahut hi zard sa chehra
aur us ki aankh ke halqe mein gaDDhe se nazar aae
ajab wahshat Tapakti thi
wahan se bhag aaya main
magar baqi sabhi kuchh Thik hai sohni
suno phir bhi main kal ek doctor se ehtiyatan mil bhi aaya hun
wo kahte hain ki ghabrane ki koi baat bilkul bhi nahin is mein
zara bas sans tham jae
zara dhaDkan bhi jam jae
to phir sab kuchh hamesha ke liye hi Thik ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.