main chhoTa sa ek laDka hun
maiñ chhoTā sā ik laḌkā huuñ
pur kaam karūñgā baḌe baḌe
jitne bhī laḌkī laḌke haiñ
maiñ sab ko nek banā.ūñgā
jo bikhre hue haiñ ham-jolī
in sab ko ek banā.ūñgā
sab aapas meñ mil jā.eñge
jo rahte haiñ ab laḌe laḌe
ye ilm kī haiñ jo raushaniyāñ
maiñ ghar ghar meñ phailāuñgā
ta.alīm kā parcham lahrā kar
maiñ sir-sayyad ban jā.ūñgā
be-kār guzārūñ umr bhalā
kyoñ apne ghar meñ paḌe paḌe
maiñ chaar taraf le jā.ūñgā
iqbāl ne jo paiġhām diyā
maiñ hī vo parinda huuñ jis ko
us ne shahbāz kā naam diyā
ab mere paroñ par chamkeñge
sab hiire motī jaḌe jaḌe
main chhoTa sa ek laDka hun
pur kaam karunga baDe baDe
jitne bhi laDki laDke hain
main sab ko nek banaunga
jo bikhre hue hain ham-joli
in sab ko ek banaunga
sab aapas mein mil jaenge
jo rahte hain ab laDe laDe
ye ilm ki hain jo raushaniyan
main ghar ghar mein phailaunga
talim ka parcham lahra kar
main sir-sayyad ban jaunga
be-kar guzarun umr bhala
kyon apne ghar mein paDe paDe
main chaar taraf le jaunga
iqbaal ne jo paigham diya
main hi wo parinda hun jis ko
us ne shahbaz ka nam diya
ab mere paron par chamkenge
sab hire moti jaDe jaDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.