main do janma
aaj kā din aur kal jo guzar gayā ye donoñ
mere shānoñ par baiThe haiñ
kal kā din baa.eñ kandhe par jam kar baiThā
mere baa.eñ kaan kī nāzuk lau ko pakḌe
chīḳh chīḳh kar ye elaan kiye jaatā hai
''maiñ zinda huuñ!
baa.eñ jānib kandhā moḌ ke dekho mujh ko''
aaj kā din jo
daa.eñ kandhe par ārām se paañv phailā kar baiThā hai
baar baar dhīme lahje meñ ek hī baat ko dohrātā hai
''mat dekho us ajal-rsīda kal ko
jo ab kisī bhī dam uThne vaalā hai
mujh ko dekho, baat karo, maiñ chaltā-phirtā aaj kā din huuñ
saañs kī Dorī mujh se bañdhī hai
kyā lenā denā hai ik āsūda-e-ḳhāk se ham jaise zindoñ ko''
daa.eñ baa.eñ gardan moḌ ke donoñ kī bāteñ suntā huuñ
gardan meñ bal paḌ jaatā hai
kuchh sustā kar phir sunñe lagtā huuñ in kī raam kahānī!
shāyad sach kahte haiñ donoñ!
maazī bhalā kahāñ martā hai?
zindoñ se bhī bad-tar, ye murda to zehn meñ gaḌā huā hai
jaise kaale marmar kī sil kā katba ho
aur phir aaj kā zinda paikar?
aane vaale kal ke din tak is ko maiñ kaise jhuTlā.ūñ
koī batā.e
maiñ do-janmā
apne do shānoñ par baiThe aaj aur kal se kaise nipTūñ?
aaj ka din aur kal jo guzar gaya ye donon
mere shanon par baiThe hain
kal ka din baen kandhe par jam kar baiTha
mere baen kan ki nazuk lau ko pakDe
chiKH chiKH kar ye elan kiye jata hai
main zinda hun!
baen jaanib kandha moD ke dekho mujh ko
aaj ka din jo
daen kandhe par aaram se panw phaila kar baiTha hai
bar bar dhime lahje mein ek hi baat ko dohraata hai
mat dekho us ajal-rsida kal ko
jo ab kisi bhi dam uThne wala hai
mujh ko dekho, baat karo, main chalta-phirta aaj ka din hun
sans ki Dori mujh se bandhi hai
kya lena dena hai ek aasuda-e-KHak se hum jaise zindon ko
daen baen gardan moD ke donon ki baaten sunta hun
gardan mein bal paD jata hai
kuchh susta kar phir sunne lagta hun in ki ram kahani!
shayad sach kahte hain donon!
mazi bhala kahan marta hai?
zindon se bhi bad-tar, ye murda to zehn mein gaDa hua hai
jaise kale marmar ki sil ka katba ho
aur phir aaj ka zinda paikar?
aane wale kal ke din tak is ko main kaise jhuTlaun
koi batae
main do-janma
apne do shanon par baiThe aaj aur kal se kaise nipTun?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.