main, ek aur main
mujh se achchhā nahīñ
kuchh burā bhī nahīñ
Thiik mujh sā bhī shāyad nahīñ
mujh ko mahsūs hotā hai kuchh muḳhtalif bhī nahīñ
vo jo ik ajnabī aaj aayā hai is shahr meñ
ain-mumkin hai paidā yahīñ vo huā ho
javāñ ho gayā to kisī dūsre des meñ jā basā
nā-ravā mausamoñ ke thapeḌoñ kī yalġhār meñ
kuchh fasurda o maġhmūm bikhrā huā
lauT aayā ho ik roz apne purāne isi shahr meñ
ye bhī mumkin hai vo
ek dushman qabīle kā koī safīr-e-adāvat yā dahshat ho yā phir koī
hijratoñ ke tasalsul kā vāmāñda rah-rau
ghaḌī do ghaḌī ke liye mere is shahr meñ ruk gayā ho
vo ik be-gharī se kisī dūsrī be-gharī meñ yahāñ aa gayā ho
vo mafrūr qātil ho mumkin hai is shahr ko
kunj-e-mahfūz shāyad samajhtā ho ye sochtā ho
guzar jā.eñge āfiyat se shab o roz baaqī ke us ke yahāñ
maiñ to sar-sabz-o-shādāb barsoñ jiyā lahlahāyā isī ḳhaak par
jism apnā thā maiñ
zehn apnā thā maiñ
ḳhud se maqdūr ke dā.ere meñ shanāsā bhī thā
hādsa mujh pe guzrā ajab ye ki maiñ
aaj apnī hī pahchān ke kaise āzār meñ ghir gayā
ab yahāñ kaun huuñ
naam merā hai kyā
kis kā ham-dam huuñ maiñ
kis kā ham-zād huuñ
kaun merā hai ham-zād chāroñ taraf se umaDtī huī bhiiḌ meñ
bād-e-masmūm meñ
jism o jaañ ko jhulastī huī reg-e-paikār meñ ghar gayā
maiñ mukāfāt ke sail-e-asrār maiñ ghar gayā
mujh se achchha nahin
kuchh bura bhi nahin
Thik mujh sa bhi shayad nahin
mujh ko mahsus hota hai kuchh muKHtalif bhi nahin
wo jo ek ajnabi aaj aaya hai is shahr mein
ain-mumkin hai paida yahin wo hua ho
jawan ho gaya to kisi dusre des mein ja basa
na-rawa mausamon ke thapeDon ki yalghaar mein
kuchh fasurda o maghmum bikhra hua
lauT aaya ho ek roz apne purane isi shahr mein
ye bhi mumkin hai wo
ek dushman qabile ka koi safir-e-adawat ya dahshat ho ya phir koi
hijraton ke tasalsul ka wamanda rah-rau
ghaDi do ghaDi ke liye mere is shahr mein ruk gaya ho
wo ek be-ghari se kisi dusri be-ghari mein yahan aa gaya ho
wo mafrur qatil ho mumkin hai is shahr ko
kunj-e-mahfuz shayad samajhta ho ye sochta ho
guzar jaenge aafiyat se shab o roz baqi ke us ke yahan
main to sar-sabz-o-shadab barson jiya lahlahaya isi KHak par
jism apna tha main
zehn apna tha main
KHud se maqdur ke daere mein shanasa bhi tha
hadsa mujh pe guzra ajab ye ki main
aaj apni hi pahchan ke kaise aazar mein ghir gaya
ab yahan kaun hun
nam mera hai kya
kis ka ham-dam hun main
kis ka ham-zad hun
kaun mera hai ham-zad chaaron taraf se umaDti hui bhiD mein
baad-e-masmum mein
jism o jaan ko jhulasti hui reg-e-paikar mein ghar gaya
main mukafat ke sail-e-asrar main ghar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.