main ek kahani likhta hun
maiñ
ek kahānī likhtā huuñ
zindagī se bharpūr
ḳhūbsūrat kahānī
jis ke kirdār
samjhaute nahīñ karte
vo
jhuuT se shadīd nafrat karte haiñ
sach unheñ
dukhoñ kī daldal meñ Daal detā hai
phir bhī
vo us se dast-bardār nahīñ hote
vo
apnī nafī kar ke
sach kā isbāt ban jaate haiñ
maiñ
sach ko zinda rakhne ke liye
rose ek jhūTī kahānī likhtā huuñ
main
ek kahani likhta hun
zindagi se bharpur
KHubsurat kahani
jis ke kirdar
samjhaute nahin karte
wo
jhuT se shadid nafrat karte hain
sach unhen
dukhon ki daldal mein Dal deta hai
phir bhi
wo us se dast-bardar nahin hote
wo
apni nafi kar ke
sach ka isbaat ban jate hain
main
sach ko zinda rakhne ke liye
rose ek jhuTi kahani likhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.