main
ek ḳhaliya huuñ maiñ
zindagī kī ikaa.ī huuñ maiñ
TuuT kar ban rahā huuñ azal se yūñhī
maiñ anāsir kī tartīb huuñ
maiñ shu.ūr-o-nazar kī vo buniyād huuñ
jis pe qaa.em riyāzī ke TeḌhe sutūñ
jis kī shāḳheñ haiñ advār ke falsafe
jo adab art sañgīt kī ruuh haiñ
ek zarra huuñ maiñ
TuuT kar ban rahā huuñ azal se yūñhī
mere har reza-e-muḳhtasar meñ na.ī zindagī
mere har sālme meñ na.ī ziist hai
ek qatra huuñ maiñ us samundar kā jis kī ġhazabnāk amvāj meñ
kashtiyāñ kahkashāoñ kī phirtī haiñ tinkoñ kī mānind bahtī huī
maiñ samundar huuñ qatra merā naam hai
ek ḳhaliya huuñ lekin mukammal hayāt
ek zarra magar markaz-e-kā.enāt
maiñ hī maḳhlūq huuñ
maiñ hī ḳhāliq huuñ duniyā kā ma.abūd huuñ
maiñ hī maiñ huuñ azal se abad tak yahāñ se vahāñ tak
faqat maiñ hī maiñ
ek KHaliya hun main
zindagi ki ikai hun main
TuT kar ban raha hun azal se yunhi
main anasir ki tartib hun
main shuur-o-nazar ki wo buniyaad hun
jis pe qaem riyazi ke TeDhe sutun
jis ki shaKHen hain adwar ke falsafe
jo adab art sangit ki ruh hain
ek zarra hun main
TuT kar ban raha hun azal se yunhi
mere har reza-e-muKHtasar mein nai zindagi
mere har salme mein nai zist hai
ek qatra hun main us samundar ka jis ki ghazabnak amwaj mein
kashtiyan kahkashaon ki phirti hain tinkon ki manind bahti hui
main samundar hun qatra mera nam hai
ek KHaliya hun lekin mukammal hayat
ek zarra magar markaz-e-kaenat
main hi maKHluq hun
main hi KHaliq hun duniya ka mabud hun
main hi main hun azal se abad tak yahan se wahan tak
faqat main hi main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.