main
fazā kī chīḳh huuñ maiñ ik fuġhāñ huuñ
añdherī raat meñ mātam kunāñ huuñ
har ik daur-e-bahārāñ mere bas meñ
maiñ apne ḳhār-o-gul kī pāsbāñ huuñ
azal se huuñ abad tak maiñ rahūñgī
payām-e-dard huuñ dil meñ nihāñ huuñ
mire andar kī dīvāreñ girī haiñ
ba-zāhir maiñ hisār-e-be-karāñ huuñ
mujhe barsāt meñ aa kar jalā de
samajh le barq meñ ik āshiyāñ huuñ
mirī pastī meñ hai rāz-e-bulandī
zamīñ par maiñ to rashk-e-āsmāñ huuñ
abhī rāhoñ meñ hai takmīl merī
adhūrī baat tishna-dāstāñ huuñ
faza ki chiKH hun main ek fughan hun
andheri raat mein matam kunan hun
har ek daur-e-bahaaran mere bas mein
main apne KHar-o-gul ki pasban hun
azal se hun abad tak main rahungi
payam-e-dard hun dil mein nihan hun
mere andar ki diwaren giri hain
ba-zahir main hisar-e-be-karan hun
mujhe barsat mein aa kar jala de
samajh le barq mein ek aashiyan hun
meri pasti mein hai raaz-e-bulandi
zamin par main to rashk-e-asman hun
abhi rahon mein hai takmil meri
adhuri baat tishna-dastan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.