main gautam nahin hun
maiñ gautam nahīñ huuñ
magar maiñ bhī jab ghar se niklā thā
ye sochtā thā
ki maiñ apne hī aap ko
DhūñDne jā rahā huuñ
kisī peḌ kī chhāñv meñ
maiñ bhī baiThūñgā
ik din mujhe bhī
koī gyaan hogā
magar jism kī aag
jo ghar se le kar chalā thā
sulagtī rahī
ghar se bāhar havā tez thī
aur bhī ye bhaḌaktī rahī
ek ik peḌ jal kar huā raakh
maiñ aise sahrā meñ ab phir rahā huuñ
jahāñ maiñ hī maiñ huuñ
jahāñ merā saaya hai
saa.e kā saaya hai
aur duur tak
bas ḳhalā hī ḳhalā hai
main gautam nahin hun
magar main bhi jab ghar se nikla tha
ye sochta tha
ki main apne hi aap ko
DhunDne ja raha hun
kisi peD ki chhanw mein
main bhi baiThunga
ek din mujhe bhi
koi gyan hoga
magar jism ki aag
jo ghar se le kar chala tha
sulagti rahi
ghar se bahar hawa tez thi
aur bhi ye bhaDakti rahi
ek ek peD jal kar hua rakh
main aise sahra mein ab phir raha hun
jahan main hi main hun
jahan mera saya hai
sae ka saya hai
aur dur tak
bas KHala hi KHala hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 113)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.