main girta hun
jab maiñ ḳhvāboñ kī sat.h se girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur āsmān kī bijlī un ke dāñtoñ meñ phañs jaatī hai
jab tiis dinoñ kī sīḌhī se har maah maiñ nīche girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur un ke haath meñ mere badan kī miTTī hai
jab kachchī siyāhī aur qaiñchī se likhe hue aḳhbār se nīche girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur un ke haath meñ mere naam kī kalġhī hai
jab havā aur dhuup ke haath se chhūT ke girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur un ke haath meñ mere dil kī pattiyāñ haiñ
jab mahbūba ke dhyān se nīche girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur un ke haath meñ merī aañkh kā paanī hai
jab maiñ kitāb ke sach aur din ke jhuuT se nīche girtā huuñ
vo hañste haiñ
aur un ke haath meñ merī umr ke safhe haiñ
maiñ girtā huuñ
aur un ko ye ma.alūm nahīñ
maiñ bilkul aise girtā huuñ ki
jaise pake hue phal meñ se biij kā daana girtā hai
maiñ apnī zamīn pe bilkul aise girtā huuñ
jab main KHwabon ki sath se girta hun
wo hanste hain
aur aasman ki bijli un ke danton mein phans jati hai
jab tis dinon ki siDhi se har mah main niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere badan ki miTTi hai
jab kachchi siyahi aur qainchi se likhe hue aKHbar se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere nam ki kalghi hai
jab hawa aur dhup ke hath se chhuT ke girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere dil ki pattiyan hain
jab mahbuba ke dhyan se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein meri aankh ka pani hai
jab main kitab ke sach aur din ke jhuT se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein meri umr ke safhe hain
main girta hun
aur un ko ye malum nahin
main bilkul aise girta hun ki
jaise pake hue phal mein se bij ka dana girta hai
main apni zamin pe bilkul aise girta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.