main gul nahin
maiñ gul nahīñ
mujhe dast-e-sabā se kaam nahīñ
na misl-e-barg na mānind-e-gul na shāḳh-e-gulāb
ki tund-o-tez havāoñ se kaañp kaañp uThūñ
ki sard-o-garm se mausam ke
Dar ke ziist karūñ
mujhe to garm havāoñ ne mil ke paalā hai
zamīñ ke habs ne
dam-ḳham ye mujh meñ Daalā hai
ki ek nanhā sā be-haisiyat vajūd mirā
zarā bhī nam jūñhī miTTī meñ apnī paatā hai
zamīñ kā chiir ke siina ye phuuT aatā hai
havā ke dhuup ke bārāñ ke barf ke mausam
jinheñ ye rashk-e-chaman hādsāt kahte haiñ
ye sīñchte haiñ mujhe merā qad baḌhāte haiñ
ye hādsāt tasarruf meñ mere rahte haiñ
gulāb belā chamelī o nastaran ke ye phuul
ye sīm-tan haiñ
mirā aisā koī naam nahīñ
khaḌī huuñ thaam ke āñdhī kī raas hāthoñ meñ
maiñ gul nahīñ
mujhe dast-e-sabā se kaam nahīñ
main gul nahin
mujhe dast-e-saba se kaam nahin
na misl-e-barg na manind-e-gul na shaKH-e-gulab
ki tund-o-tez hawaon se kanp kanp uThun
ki sard-o-garm se mausam ke
Dar ke zist karun
mujhe to garm hawaon ne mil ke pala hai
zamin ke habs ne
dam-KHam ye mujh mein Dala hai
ki ek nanha sa be-haisiyat wajud mera
zara bhi nam junhi miTTi mein apni pata hai
zamin ka chir ke sina ye phuT aata hai
hawa ke dhup ke baran ke barf ke mausam
jinhen ye rashk-e-chaman hadsat kahte hain
ye sinchte hain mujhe mera qad baDhate hain
ye hadsat tasarruf mein mere rahte hain
gulab bela chameli o nastaran ke ye phul
ye sim-tan hain
mera aisa koi nam nahin
khaDi hun tham ke aandhi ki ras hathon mein
main gul nahin
mujhe dast-e-saba se kaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.