main har taraf hun har taraf
mirī nigāh kī ḳhunuk udāsiyāñ haiñ har taraf
mire ḳhayāl kī lakīr hai vo rūd-e-nūr
koh-e-barf-posh par
mirī du’ā-e-nīm-shab vo abr-e-kohsār hai
ravāñ-davāñ
vo chāñdnī kī lahr-lahr
jism-e-jūebār par
mire hī roz-o-shab kī aarzū kā
'aks be-qarār hai
vo āftāb-e-surḳh kī na.ī kiran
kuñvārī nīlgūñ zamīñ ke lams se nashe meñ chuur
merī vārdāt-e-dil kī an-sunī pukār hai
ye yād-o-gard-bād
ye havā-e-tund-o-tez-o-sard
ye 'ālam-e-subuk-subuk
ye kaif-o-kam
fazā kī saañs hai ki mere sīna-e-fasāna-jū kā zer-o-bam
mirī zamīñ koī nahīñ mirā zamāñ koī nahīñ
mirā makāñ hai lā-makāñ maiñ har taraf huuñ har taraf
mirī nazar kā surmagīñ ġhubār hai
meri nigah ki KHunuk udasiyan hain har taraf
mere KHayal ki lakir hai wo rud-e-nur
koh-e-barf-posh par
meri du’a-e-nim-shab wo abr-e-kohsar hai
rawan-dawan
wo chandni ki lahr-lahr
jism-e-juebar par
mere hi roz-o-shab ki aarzu ka
'aks be-qarar hai
wo aaftab-e-surKH ki nai kiran
kunwari nilgun zamin ke lams se nashe mein chur
meri wardat-e-dil ki an-suni pukar hai
ye yaad-o-gard-baad
ye hawa-e-tund-o-tez-o-sard
ye 'alam-e-subuk-subuk
ye kaif-o-kam
faza ki sans hai ki mere sina-e-fasana-ju ka zer-o-bam
meri zamin koi nahin mera zaman koi nahin
mera makan hai la-makan main har taraf hun har taraf
meri nazar ka surmagin ghubar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.