main hun
hujūm-e-ārzū hai aur maiñ huuñ
kisī kī justujū hai aur maiñ huuñ
udhar hai āqibat kī fikr ġhālib
idhar jām-o-subū hai aur maiñ huuñ
huā hai shauq-e-bāda jab se mujh ko
usī kī guftugū hai aur maiñ huuñ
zabāñ par haiñ mohabbat ke tarāne
kanār-e-ābjū hai aur maiñ huuñ
umīd-e-rahmat-e-haq hai vagarna
gunah kī merī ḳhū hai aur maiñ huuñ
haqīqat gul kī khultī bhī to kaise
hijāb-e-rang-o-bū hai aur maiñ huuñ
kitāboñ ne sikhāyā ḳhaak mujh ko
ḳhayāl-e-mā-o-tū hai aur maiñ huuñ
chalā maiñ do qadam rāh-e-mohabbat
ki charchā kū-ba-kū hai aur meñ huuñ
zarā tham tham ke chal ai bād-e-hasrat
charāġh-e-ārzū hai aur maiñ huuñ
vo shāyad mere hī dil meñ nihāñ ho
ki jis kī justujū hai aur maiñ huuñ
hujum-e-arzu hai aur main hun
kisi ki justuju hai aur main hun
udhar hai aaqibat ki fikr ghaalib
idhar jam-o-subu hai aur main hun
hua hai shauq-e-baada jab se mujh ko
usi ki guftugu hai aur main hun
zaban par hain mohabbat ke tarane
kanar-e-abju hai aur main hun
umid-e-rahmat-e-haq hai wagarna
gunah ki meri KHu hai aur main hun
haqiqat gul ki khulti bhi to kaise
hijab-e-rang-o-bu hai aur main hun
kitabon ne sikhaya KHak mujh ko
KHayal-e-ma-o-tu hai aur main hun
chala main do qadam rah-e-mohabbat
ki charcha ku-ba-ku hai aur mein hun
zara tham tham ke chal ai baad-e-hasrat
charagh-e-arzu hai aur main hun
wo shayad mere hi dil mein nihan ho
ki jis ki justuju hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.