main ek pheri wala
maiñ ik pherī vaalā
bechūñ yādeñ
sastī mahñgī sachchī jhūTī ujlī mailī rañg-birañgī yādeñ
hoñT ke aañsū
ā.ankhoñ kī muskān harī fariyādeñ
maiñ ik pherī vaalā
bechūñ yādeñ
yādoñ ke rañgīn ġhubāre
niile piile laal gulābī
rañg-birañge dhāgoñ ke kandhoñ par baiThe khel rahe haiñ
Thes lagī to chīḳh uTheñge
dhāge kī gardan se chimaT kar rah jā.eñge
maiñ phir in rañgīñ dhāgoñ meñ yādoñ ke kuchh na.e ġhubbāre bāñdh ke galiyoñ bāzāroñ se
kachche pakke darvāzoñ se
āvāzeñ detā guzrūñgā
sastī mahñgī jhūTī sachchī ujlī mailī yādeñ le lo
hoñT ke aañsū
ā.ankhoñ kī muskān harī fariyādeñ le lo
main ek pheri wala
bechun yaaden
sasti mahngi sachchi jhuTi ujli maili rang-birangi yaaden
honT ke aansu
aaankhon ki muskan hari fariyaaden
main ek pheri wala
bechun yaaden
yaadon ke rangin ghubare
nile pile lal gulabi
rang-birange dhagon ke kandhon par baiThe khel rahe hain
Thes lagi to chiKH uThenge
dhage ki gardan se chimaT kar rah jaenge
main phir in rangin dhagon mein yaadon ke kuchh nae ghubbare bandh ke galiyon bazaron se
kachche pakke darwazon se
aawazen deta guzrunga
sasti mahngi jhuTi sachchi ujli maili yaaden le lo
honT ke aansu
aaankhon ki muskan hari fariyaaden le lo
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.