main
is badan ke malbe ke andar
ik dil kī ujḌī taḳhtī hai
jis meñ sannāTe bolte haiñ
yādoñ ke dar jo kholte haiñ
kuchh ḳhvāboñ ke zarre haiñ jo
is lahū meñ ḳhaliyoñ kī sūrat
jab raqs kareñ to bolte haiñ
kuchh bikhre aas ke TukḌe haiñ
jo man meñ ḳhushbū gholte haiñ
ik karb hī mere andar hai
ik dukh hī mirā muqaddar hai
in ḳhvāboñ ke jo lāshe haiñ
vo man malbe meñ chīḳhte haiñ
aur is malbe ke Dher pe maiñ
ab apne aap ko DhūñDhtī huuñ
yādoñ ko ab tak pūjtī huuñ
tum pūchhte ho naañ kaun huuñ maiñ
ab kyā batlā.ūñ kaun huuñ maiñ
is badan ke malbe ke andar
ek dil ki ujDi taKHti hai
jis mein sannaTe bolte hain
yaadon ke dar jo kholte hain
kuchh KHwabon ke zarre hain jo
is lahu mein KHaliyon ki surat
jab raqs karen to bolte hain
kuchh bikhre aas ke TukDe hain
jo man mein KHushbu gholte hain
ek karb hi mere andar hai
ek dukh hi mera muqaddar hai
in KHwabon ke jo lashe hain
wo man malbe mein chiKHte hain
aur is malbe ke Dher pe main
ab apne aap ko DhunDhti hun
yaadon ko ab tak pujti hun
tum puchhte ho nan kaun hun main
ab kya batlaun kaun hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.