main jagta hun
maiñ jāgtā huuñ koī nazm sar uThā.e to
use maiñ sīnā-e-qirtās par raqam kar duuñ
mire dukhoñ kī salīboñ pe kaise kaise badan
laTak rahe haiñ numā.ish ko ek muddat se
maiñ ek saañs meñ kaise jiyā huuñ kaise marā
ho mere haath kī tahrīr meñ likhā shāyad
koī shikan mire maazī kī aks ho shāyad
maiñ apnā ek sitam kārsāz karne ko
hazāroñ ḳhvāhishoñ kā ek jaal buntā huuñ
vo jaal sālhā-sāloñ se lipTā rahtā hai
mire vajūd ke lā-intihā darīchoñ par
main jagta hun koi nazm sar uThae to
use main sina-e-qirtas par raqam kar dun
mere dukhon ki salibon pe kaise kaise badan
laTak rahe hain numaish ko ek muddat se
main ek sans mein kaise jiya hun kaise mara
ho mere hath ki tahrir mein likha shayad
koi shikan mere mazi ki aks ho shayad
main apna ek sitam karsaz karne ko
hazaron KHwahishon ka ek jal bunta hun
wo jal salha-salon se lipTa rahta hai
mere wajud ke la-intiha darichon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.