Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jab KHud se bichhaDti hun

Bushra Ejaz

main jab KHud se bichhaDti hun

Bushra Ejaz

MORE BYBushra Ejaz

    Interesting Fact

    Dedicated to her daughter Subiya.

    mirī palkoñ pe tābinda

    tirī āñkhoñ ke aañsū

    mujhe tārīk rātoñ meñ

    na.e raste sujhāte haiñ

    vajūdī vāhimoñ sar-zamīnoñ par

    maiñ jab ḳhud se bichhaḌtī huuñ

    chamaktī ret ke zarroñ sūrat

    jab bikhartī huuñ

    mujhe vo apne nam se joḌ dete haiñ

    mujhe ḳhud se milāte haiñ

    maiñ jab din bahut lambī masāfat meñ

    udāsī thakan se chuur hotī huuñ

    akele-pan vahshat meñ

    bahut majbūr hotī huuñ

    to gahrī hāñptī shāmoñ dahlīzoñ se

    vo akasr mujhe dhīre se

    maañ! kah kar bulāte haiñ

    tirī āñkhoñ ke aañsū

    mujhe kaise anokhe silsiloñ se

    milāte haiñ!!

    meri palkon pe tabinda

    teri aankhon ke aansu

    mujhe tarik raaton mein

    nae raste sujhate hain

    wajudi wahimon ki sar-zaminon par

    main jab KHud se bichhaDti hun

    chamakti ret ke zarron ki surat

    jab bikharti hun

    mujhe wo apne nam se joD dete hain

    mujhe KHud se milate hain

    main jab din ki bahut lambi masafat mein

    udasi ki thakan se chur hoti hun

    akele-pan ki wahshat mein

    bahut majbur hoti hun

    to gahri hanpti shamon ki dahlizon se

    wo akasr mujhe dhire se

    man! kah kar bulate hain

    teri aankhon ke aansu

    mujhe kaise anokhe silsilon se

    ja milate hain!!

    Source :
    • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 80)
    • Author : Naseer Ahmed Nasir
    • Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
    • Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now