main kab se be-Khaal-o-KHat paDa hun
kahāñ haiñ āñkheñ
maiñ jin meñ tīra-shabī kā tiryāq
āsmāñ par khile sitāroñ meñ DhūñDtā thā
maiñ dekhtā thā
jo had-e-idrāk meñ nahīñ thā
jo duur ho kar bhī mere mārūz meñ kahīñ thā
maiñ apnī poroñ se puurā chehra TaTol ke ḳhud se pūchhtā huuñ
kahāñ haiñ hoñToñ ke surḳh kone
kisī ke ruḳhsār kī amāvas kī raat meñ jo
sitāra ban ke tulū hote
jo muskurāte, to phuul jhaḌte
jo harf do harf ik kahānī kā haar bante
jo munkashif ho ke raushnī kā libās hote
kahāñ hai kānoñ kī hairatī kā sharāb-ḳhāna
jahāñ pe āvāz
bahte chashmoñ kī tāzgī kā surāġh le kar
mirī samā.at kā rizq bantī
maiñ kis se pūchhūñ
vo jis se khilte the
bārishoñ meñ mahaktī miTTī kī ḳhush-buoñ ke
tamām mafhūm ab, kahāñ hai
maiñ kab se be-ḳhāl-o-ḳhat paḌā huuñ
mirā koī saaya hī nahīñ hai
sab ā.īne jhuuT bolte haiñ
kisī ke chehre ko merā chehra dikhā rahe haiñ
kahan hain aankhen
main jin mein tira-shabi ka tiryaq
aasman par khile sitaron mein DhunDta tha
main dekhta tha
jo had-e-idrak mein nahin tha
jo dur ho kar bhi mere maruz mein kahin tha
main apni poron se pura chehra TaTol ke KHud se puchhta hun
kahan hain honTon ke surKH kone
kisi ke ruKHsar ki amawas ki raat mein jo
sitara ban ke tulu hote
jo muskuraate, to phul jhaDte
jo harf do harf ek kahani ka haar bante
jo munkashif ho ke raushni ka libas hote
kahan hai kanon ki hairati ka sharab-KHana
jahan pe aawaz
bahte chashmon ki tazgi ka suragh le kar
meri samaat ka rizq banti
main kis se puchhun
wo jis se khilte the
barishon mein mahakti miTTi ki KHush-buon ke
tamam mafhum ab, kahan hai
main kab se be-KHal-o-KHat paDa hun
mera koi saya hi nahin hai
sab aaine jhuT bolte hain
kisi ke chehre ko mera chehra dikha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.