main kahan tha
maiñ apne hone ko
khojtā huuñ
maiñ sochtā huuñ ki
maiñ kahāñ thā
sadā-e-kun kī jo guuñj uTThī
zamāñ makāñ meñ havā.eñ jāgīñ
kanār bāñdhe samundaroñ par
sadā-e-ātish bhī chār-sū thī
to maiñ kahāñ thā
maiñ sochtā huuñ ki maiñ kahāñ thā
mire javāhar kī mauj kyā thī
mire anāsir kahāñ kahāñ the
jahān mere kahāñ kahāñ the
makān mere kahāñ kahāñ the
maiñ āshnā se na āshnā huuñ
maiñ jāntā huuñ to sirf itnā
maiñ ibtidā ke kamāl meñ gum
tū intihā ke jamāl meñ gum
sadā-e-kun ke ḳhulūd jalve
ye ek maiñ huuñ
ye ek ho tum
main apne hone ko
khojta hun
main sochta hun ki
main kahan tha
sada-e-kun ki jo gunj uTThi
zaman makan mein hawaen jagin
kanar bandhe samundaron par
sada-e-atish bhi chaar-su thi
to main kahan tha
main sochta hun ki main kahan tha
mere jawahar ki mauj kya thi
mere anasir kahan kahan the
jahan mere kahan kahan the
makan mere kahan kahan the
main aashna se na aashna hun
main jaanta hun to sirf itna
main ibtida ke kamal mein gum
tu intiha ke jamal mein gum
sada-e-kun ke KHulud jalwe
ye ek main hun
ye ek ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.