main KHud hairan hun
kabhī sochā hai tum ne
ki mere be-sabab
hañsne kī āḳhir vaj.h kyā hai
jānte ho tum
ki dīvāna nahīñ huuñ maiñ
magar phir bhī kabhī ġhamgīñ nahīñ hotā
udāsī mere chehre se
kabhī zāhir nahīñ hotī
maiñ ḳhud hairān huuñ
kyā hai
balā hai
yā ḳhudā kā mo'jiza hai
kabhi socha hai tum ne
ki mere be-sabab
hansne ki aaKHir wajh kya hai
jaante ho tum
ki diwana nahin hun main
magar phir bhi kabhi ghamgin nahin hota
udasi mere chehre se
kabhi zahir nahin hoti
main KHud hairan hun
kya hai
bala hai
ya KHuda ka mo'jiza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.