main KHud sochta hun
hādse zindagī kī alāmat haiñ lekin vo ik hādsa
ham jise maut kahte haiñ
kab aur kaise kahāñ rū-numā ho koī jāntā hai
bilā-raib koī nahīñ jāntā
maiñ ḳhud sochtā huuñ mujhe ek muddat se kyā ho gayā hai
mere phaile hue jāgte zinda hāthoñ kī sab uñgliyāñ so chukī haiñ
mere larzāñ laboñ par jamī papḌiyāñ barq se raakh hote hue abr par ro chukī haiñ
ilm o irfān kī raah meñ jaise merī duā.eñ asar kho chukī haiñ
maiñ kyā jāntā huuñ
fanā ke tasalsul meñ koī girah Dālne ke liye
harf-e-kun kī zarūrat hai jo māñgne par bhī koī na degā
ki ab vo zamānoñ se bahte hue ḳhuun kā ḳhūñ-bahā to nahīñ hai
vo jis ke tasarruf meñ sab kuchh hai
husn-e-talab kī mujhe daad de kar agar ye kahe
ḳhuub ho tum magar jānte ho ki tum kaun ho
tum rah-e-raftagāñ kī masāfat kā ik aur āġhāz ho intihā to nahīñ ho
adam aur maujūd ke darmiyāñ ik kaḌī ho ḳhudā to nahīñ ho
to maiñ kyā kahūñgā maiñ ḳhud sochtā huuñ
hadse zindagi ki alamat hain lekin wo ek hadsa
hum jise maut kahte hain
kab aur kaise kahan ru-numa ho koi jaanta hai
bila-raib koi nahin jaanta
main KHud sochta hun mujhe ek muddat se kya ho gaya hai
mere phaile hue jagte zinda hathon ki sab ungliyan so chuki hain
mere larzan labon par jami papDiyan barq se rakh hote hue abr par ro chuki hain
ilm o irfan ki rah mein jaise meri duaen asar kho chuki hain
main kya jaanta hun
fana ke tasalsul mein koi girah Dalne ke liye
harf-e-kun ki zarurat hai jo mangne par bhi koi na dega
ki ab wo zamanon se bahte hue KHun ka KHun-baha to nahin hai
wo jis ke tasarruf mein sab kuchh hai
husn-e-talab ki mujhe dad de kar agar ye kahe
KHub ho tum magar jaante ho ki tum kaun ho
tum rah-e-raftagan ki masafat ka ek aur aaghaz ho intiha to nahin ho
adam aur maujud ke darmiyan ek kaDi ho KHuda to nahin ho
to main kya kahunga main KHud sochta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.