main kya chahta hun
maiñ kyā chāhtā huuñ maiñ kyā chāhtā huuñ
maiñ duniyā kā aalam nayā chāhtā huuñ
vo firqe jo rahte haiñ hindostāñ meñ
unheñ ek dil dekhnā chāhtā huuñ
ho maqsad yahāñ jin kā īzā-rasānī
maiñ un tāqatoñ kī fanā chāhtā huuñ
adāvat kā nafrat kā anjām bad hai
maiñ is baat ko sochnā chāhtā huuñ
ġharībī se ab jaan par aa banī hai
maiñ is haal ko roknā chāhtā huuñ
vatan kī taraqqī kā hai raaz is meñ
maiñ āzād āb-o-havā chāhtā huuñ
bane des phir apnā sone kī chiḌiyā
kuchh aisī na.ī kīmiyā chāhtā huuñ
jo kahte haiñ ye kīmiyā hurriyat hai
maiñ tā.īd un kī kyā chāhtā huuñ
milegī na ye kīmiyā be-kiye kuchh
ye ik baat sīdhī kahā chāhtā huuñ
na.ī baat hai mujh ko 'nayyar' gavāra
har andāz apnā nayā chāhtā huuñ
main kya chahta hun main kya chahta hun
main duniya ka aalam naya chahta hun
wo firqe jo rahte hain hindostan mein
unhen ek dil dekhna chahta hun
ho maqsad yahan jin ka iza-rasani
main un taqaton ki fana chahta hun
adawat ka nafrat ka anjam bad hai
main is baat ko sochna chahta hun
gharibi se ab jaan par aa bani hai
main is haal ko rokna chahta hun
watan ki taraqqi ka hai raaz is mein
main aazad aab-o-hawa chahta hun
bane des phir apna sone ki chiDiya
kuchh aisi nai kimiya chahta hun
jo kahte hain ye kimiya hurriyat hai
main taid un ki kya chahta hun
milegi na ye kimiya be-kiye kuchh
ye ek baat sidhi kaha chahta hun
nai baat hai mujh ko 'nayyar' gawara
har andaz apna naya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.