main kya chahta hun
maiñ kyā chāhtā huuñ zarā mujh se pūchho
ye kahte haiñ abbū ki afsar banūñ maiñ
ye ammī kī ḳhvāhish hai teacher banūñ maiñ
ye kahte haiñ bhayyā banūñ doctor maiñ
kamā.ūñgā aise bahut māl-o-zar maiñ
mujhe māl-o-daulat se raġhbat nahīñ hai
mire kaam kī chiiz shohrat nahīñ hai
mire dil meñ ḳhvāhish hai leader banūñgā
zamāne kī be-laus ḳhidmat karūñgā
maiñ kyā chāhtā huuñ zarā mujh se pūchho
main kya chahta hun zara mujh se puchho
ye kahte hain abbu ki afsar banun main
ye ammi ki KHwahish hai teacher banun main
ye kahte hain bhayya banun doctor main
kamaunga aise bahut mal-o-zar main
mujhe mal-o-daulat se raghbat nahin hai
mere kaam ki chiz shohrat nahin hai
mere dil mein KHwahish hai leader banunga
zamane ki be-laus KHidmat karunga
main kya chahta hun zara mujh se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.