main kya kahta tha
maiñ ye kahtā thā ki nauha na kaho
kheltī titliyoñ hañstī huī kaliyoñ ke qasīde likkho
ye jo imkāñ meñ koī baas damaktī hai
ise lafz meñ laao kisī dil meñ likhe
lafz jo dil ke dabāo ko ghaTā detā hai
dil jo ik hashr uThā detā hai
maiñ ye kahtā thā
chahaktī huī chiḌiyoñ ke liye giit likho
un daraḳhtoñ se lipaT jā.ūñ
jo jalte haiñ magar sāya-kunāñ rahte haiñ
varna dil sirf ḳhizāñ rahte haiñ
abr kī baat karo
ashk tah-e-chashm dabe rahne do
maiñ ye kahtā thā
kahīñ duur khanaktī huī qilqārī ko
apne ehsās kī kyārī meñ numū paane do
vo jo fardā ke chaman meñ hai nigār mumkin
ise alfāz kī mahkār meñ so jā ne do
maiñ ye kahtā thā
magar kyā maiñ yahī kahtā thā
main ye kahta tha ki nauha na kaho
khelti titliyon hansti hui kaliyon ke qaside likkho
ye jo imkan mein koi bas damakti hai
ise lafz mein lao kisi dil mein likhe
lafz jo dil ke dabao ko ghaTa deta hai
dil jo ek hashr uTha deta hai
main ye kahta tha
chahakti hui chiDiyon ke liye git likho
un daraKHton se lipaT jaun
jo jalte hain magar saya-kunan rahte hain
warna dil sirf KHizan rahte hain
abr ki baat karo
ashk tah-e-chashm dabe rahne do
main ye kahta tha
kahin dur khanakti hui qilqari ko
apne ehsas ki kyari mein numu pane do
wo jo farda ke chaman mein hai nigar mumkin
ise alfaz ki mahkar mein so ja ne do
main ye kahta tha
magar kya main yahi kahta tha
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 101)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.