main mazi nahin hun
maiñ kab tak
yūñhī ḳhāndānī shujā.at sharāfat kī tārīḳh rakhtā rahūñgā
yūñhī apne aslāf kī shān-o-shaukat kī bāteñ karūñgā
maiñ maazī nahīñ huuñ
maiñ apne meñ maujūd jiitā rahā huuñ
maiñ apne qadam kī sulagtī zamīñ par hī chaltā rahā huuñ
zamāne kī bhaTTī meñ taptā rahā huuñ
mire vaqt ne mujh ko kundan banāyā
maiñ jo kuchh huuñ maiñ huuñ
abhī koī guzrā huā pal nahīñ huuñ
maiñ maujūd huuñ haal se merā rishta rahegā barābar
maiñ maazī nahīñ huuñ
maiñ huuñ ahd-e-hāzir
maiñ apne zamāne kī tārīḳh huuñ ḳhud
mirā zikr hī tazkira haal kā hai
mujhe apnī bāteñ sunānī haiñ sab ko
sunā.ūñgā ab maiñ
sunā kar rahūñgā
main kab tak
yunhi KHandani shujaat sharafat ki tariKH rakhta rahunga
yunhi apne aslaf ki shan-o-shaukat ki baaten karunga
main mazi nahin hun
main apne mein maujud jita raha hun
main apne qadam ki sulagti zamin par hi chalta raha hun
zamane ki bhaTTi mein tapta raha hun
mere waqt ne mujh ko kundan banaya
main jo kuchh hun main hun
abhi koi guzra hua pal nahin hun
main maujud hun haal se mera rishta rahega barabar
main mazi nahin hun
main hun ahd-e-hazir
main apne zamane ki tariKH hun KHud
mera zikr hi tazkira haal ka hai
mujhe apni baaten sunani hain sab ko
sunaunga ab main
suna kar rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.