main
maiñ bhī dil ke bahlāne ko kyā kyā svāñg rachātā huuñ
sāyoñ ke jhurmuT meñ baiThā sukh kī sej sajātā huuñ
bujhte jalte dīpak se sapnoñ ke chāñd banātā huuñ
aap hī kaalī āñhkeñ ban kar apne sāmne aatā huuñ
aap hī dukh kā bhes badal kar un ko DhūñDne jaatā huuñ
main bhi dil ke bahlane ko kya kya swang rachata hun
sayon ke jhurmuT mein baiTha sukh ki sej sajata hun
bujhte jalte dipak se sapnon ke chand banata hun
aap hi kali aanhken ban kar apne samne aata hun
aap hi dukh ka bhes badal kar un ko DhunDne jata hun
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 108)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.