main na kahta tha tum se
maiñ na kahtā thā tum se rah meñ chhoḌ jāogī
ishq ik riyāzat hai kaise Thair pāogī
aag kā ye dariyā hai kyuuñ kar tair pāogī
maiñ na kahtā thā tum se
ishq ik ibādat hai payambarī amānat hai
ḳhāroñ se ye pur rasta
kab talak chalogī tum
saath chhoḌ jāogī
maiñ na kahtā thā tum se
ḳhauf khātā rahtā huuñ
makr se daġhā se maiñ
aise dost se bhī jo
kashtiyāñ Dubote haiñ
beach meñ samundar ke
maiñ na kahtā thā tum se
pahle soch lo sau baar
bādbāñ ke uThne se
tūfāñ ke beach jaane se
chhoḌ to na jāogī darmiyāñ samundar ke
aur tum ne har ik baar ye yaqīñ dilāyā thā
saath jiine marne kī laakh qasmeñ khaa.ī thiiñ
aur maiñ ki saada dil aa gayā thā bātoñ meñ
āñsuoñ meñ aahoñ meñ
jhuuT kī kathāoñ meñ
jaan kar sabhī kuchh ki
pahle pāñch kashtī meñ chhed kar ke baiThī ho
par tumhārī sūrat jo
tā.eboñ sī lagtī thī
de ga.ī fareb āḳhir
aur phir jo honā thā ho rahā ik din
tum ko chhal hī karnā thā
kaise baaz rahtī tum
sad.hā va.ade kar ke bhī
laakh qasmeñ khā ke bhī
darmiyāñ samundar ke
mauj meñ thapeḌoñ ke
chhed kar ke kashtī meñ
sātveñ maiñ jā baiThī
maiñ na kahtā thā tum se
par nahīñ nahīñ ab to
ab maiñ tum se kahtā huuñ
ishq ik safīna hai
bahr-e-be-karāñ ho yā
pur-ḳhatar samundar ho
paar ḳhud utarnā hai
tum karo ab apnī fikr
kashtiyāñ badalne kī
āThvīñ yā nauvīñ kī
māñjhī DhūñD laane kī
koī makr karne kī
maiñ ki ek sāda-dil
ishq par yaqīñ avval ishq par yaqīñ āḳhir
main na kahta tha tum se rah mein chhoD jaogi
ishq ek riyazat hai kaise Thair paogi
aag ka ye dariya hai kyun kar tair paogi
main na kahta tha tum se
ishq ek ibaadat hai payambari amanat hai
KHaron se ye pur rasta
kab talak chalogi tum
sath chhoD jaogi
main na kahta tha tum se
KHauf khata rahta hun
makr se dagha se main
aise dost se bhi jo
kashtiyan Dubote hain
beach mein samundar ke
main na kahta tha tum se
pahle soch lo sau bar
baadban ke uThne se
tufan ke beach jaane se
chhoD to na jaogi darmiyan samundar ke
aur tum ne har ek bar ye yaqin dilaya tha
sath jine marne ki lakh qasmen khai thin
aur main ki sada dil aa gaya tha baaton mein
aansuon mein aahon mein
jhuT ki kathaon mein
jaan kar sabhi kuchh ki
pahle panch kashti mein chhed kar ke baiThi ho
par tumhaari surat jo
taebon si lagti thi
de gai fareb aaKHir
aur phir jo hona tha ho raha ek din
tum ko chhal hi karna tha
kaise baz rahti tum
sadha wade kar ke bhi
lakh qasmen kha ke bhi
darmiyan samundar ke
mauj mein thapeDon ke
chhed kar ke kashti mein
satwen main ja baiThi
main na kahta tha tum se
par nahin nahin ab to
ab main tum se kahta hun
ishq ek safina hai
bahr-e-be-karan ho ya
pur-KHatar samundar ho
par KHud utarna hai
tum karo ab apni fikr
kashtiyan badalne ki
aaThwin ya nauwin ki
manjhi DhunD lane ki
koi makr karne ki
main ki ek sada-dil
ishq par yaqin awwal ishq par yaqin aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.