main nahin hun magar
maiñ nahīñ huuñ magar
ab bhī khilte haiñ khiḌkī ke daa.eñ taraf
phuul bal khaa.ī uljhī huī bel par
zindagī ke kisī faisle kī
ghaḌī se ulajhte hue
maiñ khurachtā rahā thā ye roġhan
jamī hai yahāñ aaj tak
nanhe dhabbe meñ ik
be-kalī mere ehsās kī
aur qālīn par
merī pyālī se chhalkī huī
chaa.e kā ik purānā nishāñ
ab bhī taktā hai maTyālī āñkhoñ se
chhat kī taraf
aaj bhī haiñ paḌī shelf par
jo kitābeñ ḳharīdī thiiñ
maiñ ne bahut pyaar se
aaj bhī haiñ juḌe
kāġhazoñ ke hasīñ ā.īnoñ meñ
mirī sūkhī poroñ se phūTe hue
kaale harfoñ ke chehre ajab shaan se
maiñ to hairān huuñ
mujh se mansūb har ek shai
juuñ kī tuuñ hai to kyā
ek maiñ hī thā jo
ek maiñ hī thā paanī ke
siine pe rakhā huā naqsh jo
pal do pal ko banā aur miT bhī gayā
main nahin hun magar
ab bhi khilte hain khiDki ke daen taraf
phul bal khai uljhi hui bel par
zindagi ke kisi faisle ki
ghaDi se ulajhte hue
main khurachta raha tha ye roghan
jami hai yahan aaj tak
nanhe dhabbe mein ek
be-kali mere ehsas ki
aur qalin par
meri pyali se chhalki hui
chae ka ek purana nishan
ab bhi takta hai maTyali aankhon se
chhat ki taraf
aaj bhi hain paDi shelf par
jo kitaben KHaridi thin
main ne bahut pyar se
aaj bhi hain juDe
kaghazon ke hasin aainon mein
meri sukhi poron se phuTe hue
kale harfon ke chehre ajab shan se
main to hairan hun
mujh se mansub har ek shai
jun ki tun hai to kya
ek main hi tha jo
ek main hi tha pani ke
sine pe rakha hua naqsh jo
pal do pal ko bana aur miT bhi gaya
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.