maine bagh ki jaanib piTh kar li
maiñ ne dajla-o-furāt ke mashriq meñ
ek qadīm aur raushan peḌ ke nīche
sajdoñ kā ḳhirāj vasūl kiyā
aur phaldār daraḳhtoñ se Dhake
baaġh meñ muqīm havā
jise mere aur us aurat ke liye
ārāsta kiyā gayā thā
jis kī janm-bhūmī
merī dā.īñ paslī thī
maiñ ne pahlī baar use
zindagī ke peḌ kī sunahrī shāḳhoñ ke darmiyān
reñgte dekhā
vo
peḌ kī hifāzat pe māmūr thā
us kī kāsnī āñkhoñ meñ
qaa.il kar lene vaalī
chamak thī
maiñ ne apnī bhuuk
imtinā.a ke phal pe tastīr kī
to merī āñkheñ
us aurat ke jism ke ār-pār
dekhne lagīñ
aur
baaġh ke sabz peḌ
mere sar se
apne saa.e kī chhatriyāñ sameTne lage
maiñ ne zindagī ke peḌ se lipTe azhdahe ko
tiin barābar hissoñ meñ taqsīm kiyā
ek hisse se
apne sar ke liye shimla ījād kiyā
dūsre hisse ko
izār-band banā kar kamar ke gird lapeTā
jo bach rahā
use apnī sāthī aurat ke
bāloñ meñ gūñdhā
aur
baaġh kī jānib piiTh kar lī
merī aurat ne mujh se chhup kar
us kī siyāh jald se
apnī niilī āñkhoñ ke liye
surma ījād kiyā
aur raat ke pichhle pahar
apne duudh se
us kī ziyāfat karne lagī
maiñ ne muqaddas pahāḌ kī sab se buland choTī
use daan kī
aur apnī peshānī
ḳhaak pe rakh dī
main ne dajla-o-furaat ke mashriq mein
ek qadim aur raushan peD ke niche
sajdon ka KHiraj wasul kiya
aur phaldar daraKHton se Dhake
bagh mein muqim hawa
jise mere aur us aurat ke liye
aarasta kiya gaya tha
jis ki janm-bhumi
meri dain pasli thi
main ne pahli bar use
zindagi ke peD ki sunahri shaKHon ke darmiyan
rengte dekha
wo
peD ki hifazat pe mamur tha
us ki kasni aankhon mein
qail kar lene wali
chamak thi
main ne apni bhuk
imtinaa ke phal pe tastir ki
to meri aankhen
us aurat ke jism ke aar-par
dekhne lagin
aur
bagh ke sabz peD
mere sar se
apne sae ki chhatriyan sameTne lage
main ne zindagi ke peD se lipTe azhdahe ko
tin barabar hisson mein taqsim kiya
ek hisse se
apne sar ke liye shimla ijad kiya
dusre hisse ko
izar-band bana kar kamar ke gird lapeTa
jo bach raha
use apni sathi aurat ke
baalon mein gundha
aur
bagh ki jaanib piTh kar li
meri aurat ne mujh se chhup kar
us ki siyah jald se
apni nili aankhon ke liye
surma ijad kiya
aur raat ke pichhle pahar
apne dudh se
us ki ziyafat karne lagi
main ne muqaddas pahaD ki sab se buland choTi
use dan ki
aur apni peshani
KHak pe rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.