maine dekha
maiñ ne dekhā dard kī shiddat se bechain kisī vīrāne kī samt chalā jaatā huuñ
ghane banoñ ke ba.ad khule maidānoñ meñ ret hī ret hai
aur havā meñ ret ke nanhe zarre jagmag jagmag tair rahe haiñ
kuchh aadhe puure peḌ haiñ
haivānī Dhāñche sālim aur adhūre sab chup-chāp haiñ
duur pahāḌī ke pīchhe nuur kā laavā ubal rahā hai
lākhoñ kirnoñ ke tiir fazā meñ tairte phirte haiñ
jo bhī zad meñ aatā hai
us kā joḌ joḌ bikhar jaatā hai
harā-bharā ik peḌ hai
jis ke aadhe hisse kī shāḳheñ phal aur phuul sabhī
phul-jhaḌiyoñ kī tarah sulag sulag kar girte haiñ
yuuñ lagtā hai
jaise kuchh hī der meñ saarī fazā
zar-kār chamakte bujhte zarroñ se bhar jā.egī
saare jism pighal jā.eñge
ek kiran
merī peshānī pe lagī thī
jazb huī
aur jaise kisī ne merā haath pakaḌ kar pīchhe khīñch liyā
suuī kī ik nok chubhī aur TuuT ga.ī
tab se merī rag rag meñ tairtī
andar hī andar mujh ko chhalnī kartī rahtī hai
tab se maiñ ik chīḳhtī chillātī bechain havā huuñ
parbat parbat sar Takrātā huuñ
merā ghar-bār luTā paḌā hai
jis ke TukḌe TukḌe kar ke
mere har vāris ne apnā apnā hissa baañT liyā hai
tab se ye duniyā kitnī chhoTī lagtī hai
maiñ is meñ kaise samā pā.ūñgā
saḳht chaTTāneñ mere bojh se
daldal kī mānind zamīñ meñ dhañs jaatī hai
kaise pā.ūñ dharūñgā
kis se pyaar karūñgā
mere karb ko kaun sahegā
vo haath kahāñ hai
kaisī parchhā.īñ hai
tum ho maiñ huuñ
maiñ to ḳhud bhī apne saath nahīñ
main ne dekha dard ki shiddat se bechain kisi virane ki samt chala jata hun
ghane banon ke baad khule maidanon mein ret hi ret hai
aur hawa mein ret ke nanhe zarre jagmag jagmag tair rahe hain
kuchh aadhe pure peD hain
haiwani Dhanche salim aur adhure sab chup-chap hain
dur pahaDi ke pichhe nur ka lawa ubal raha hai
lakhon kirnon ke tir faza mein tairte phirte hain
jo bhi zad mein aata hai
us ka joD joD bikhar jata hai
hara-bhara ek peD hai
jis ke aadhe hisse ki shaKHen phal aur phul sabhi
phul-jhaDiyon ki tarah sulag sulag kar girte hain
yun lagta hai
jaise kuchh hi der mein sari faza
zar-kar chamakte bujhte zarron se bhar jaegi
sare jism pighal jaenge
ek kiran
meri peshani pe lagi thi
jazb hui
aur jaise kisi ne mera hath pakaD kar pichhe khinch liya
sui ki ek nok chubhi aur TuT gai
tab se meri rag rag mein tairti
andar hi andar mujh ko chhalni karti rahti hai
tab se main ek chiKHti chillati bechain hawa hun
parbat parbat sar Takraata hun
mera ghar-bar luTa paDa hai
jis ke TukDe TukDe kar ke
mere har waris ne apna apna hissa banT liya hai
tab se ye duniya kitni chhoTi lagti hai
main is mein kaise sama paunga
saKHt chaTTanen mere bojh se
daldal ki manind zamin mein dhans jati hai
kaise paun dharunga
kis se pyar karunga
mere karb ko kaun sahega
wo hath kahan hai
kaisi parchhain hai
tum ho main hun
main to KHud bhi apne sath nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.