maine ek chiz bacha rakhi hai
ye ḳharāba
ki koī gumbad-e-tārīk hai ye
koī sūrāḳh nahīñ
koh-e-siyah ke us paar aañkh dekhe koī taarā jugnū
is ḳharābe kī sahar bhī kyā hai
bevgī
sub.h kī chaukhaT thāme
apnī peshānī kī khoī huī biñdī meñ gum
surḳh ugte hue sūraj ko khaḌī ghūrtī hai
din kā ye haal ki bas
dhuul uḌtī hai badan meñ din bhar
jeTh dopahar kī vīrān hathelī uupar
fasl kaaTe hue khetoñ ke bagūle jaise
zalzale baḳht-ḳharāba ye jahāñ
ḳhuuñ sanī rūheñ sisaktī haiñ dabī malboñ meñ
āsmāñ gahre dhueñ se hai bharā
tum agar aa sako aa kar dekho
dil ko dahlāte hue
gahre dhueñ
aur dhamākoñ ke ghane shor ke biich
maiñ ne ik chiiz bachā rakhī hai
raat dīvār pe
ik nanhe diye kī sūrat
ye KHaraba
ki koi gumbad-e-tarik hai ye
koi suraKH nahin
koh-e-siyah ke us par aankh dekhe koi tara jugnu
is KHarabe ki sahar bhi kya hai
bewgi
subh ki chaukhaT thame
apni peshani ki khoi hui bindi mein gum
surKH ugte hue suraj ko khaDi ghurti hai
din ka ye haal ki bas
dhul uDti hai badan mein din bhar
jeTh dopahar ki viran hatheli upar
fasl kaTe hue kheton ke bagule jaise
zalzale baKHt-KHaraba ye jahan
KHun sani ruhen sisakti hain dabi malbon mein
aasman gahre dhuen se hai bhara
tum agar aa sako aa kar dekho
dil ko dahlate hue
gahre dhuen
aur dhamakon ke ghane shor ke bich
main ne ek chiz bacha rakhi hai
raat diwar pe
ek nanhe diye ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.