maine kuchh nahin kaha
raat us ko ḳhvāb meñ dekh kar
maiñ ne kuchh nahīñ kahā
chaar saal kī thakan javāñ huī
tishnagī baḌh ke be-karāñ huī
haañ magar jab āñsuoñ kī narm garm tāzgī
ās-pās dilkashī bikhar ga.ī
aur ek saaya sā sirhāne aa ke tham gayā
maiñ ne ye kahā ki ai mire ḳhudā
tū baḌā rahīm hai
us kā dil do niim hai
us ke rañg us ke husn ko nikhār de
us ke dil kā bojh utaar de
tū use sukūn de mujhe junūn de
us ke dukh us ke dard chhīn le
us ke rog mujh ko de
maiñ gunāhgār huuñ
raat us ko ḳhvāb meñ dekh kar
chaar saal jaise phir usī tarah guzar ga.e
chaar saal kis tarah guzar ga.e
dil ye sochtā rahā
maiñ ne kuchh nahīñ kahā
raat us ko KHwab mein dekh kar
main ne kuchh nahin kaha
chaar sal ki thakan jawan hui
tishnagi baDh ke be-karan hui
han magar jab aansuon ki narm garm tazgi
aas-pas dilkashi bikhar gai
aur ek saya sa sirhane aa ke tham gaya
main ne ye kaha ki ai mere KHuda
tu baDa rahim hai
us ka dil do nim hai
us ke rang us ke husn ko nikhaar de
us ke dil ka bojh utar de
tu use sukun de mujhe junun de
us ke dukh us ke dard chhin le
us ke rog mujh ko de
main gunahgar hun
raat us ko KHwab mein dekh kar
chaar sal jaise phir usi tarah guzar gae
chaar sal kis tarah guzar gae
dil ye sochta raha
main ne kuchh nahin kaha
- Book : Naqsh-e-karachi (Pg. 120)
- Author : Shahid Dehlvi,Shams Zubairi
- Publication : Adbi Digest (26 September 1960)
- Edition : 26 September 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.