Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main phul jaisi kyon hui

Rafia Shabnam Abidi

main phul jaisi kyon hui

Rafia Shabnam Abidi

MORE BYRafia Shabnam Abidi

    ajiib āñdhiyāñ chalīñ

    havā.eñ tez-tar huiiñ

    duā.eñ be-asar huiiñ

    hasīn jāñ-gudāz phuul

    oḌh kar vo saarī dhuul

    shāḳh se chimaT ga.e

    ḳhauf se lipaT ga.e

    magar vo shāḳh jhuk ga.ī

    zamīñ pe aa ke ruk ga.ī

    phuul shāḳh se jhaḌe

    zamīñ pe aise gir paḌe

    ki barg barg rang rang

    āñdhiyoñ meñ kho ga.e

    mile kuchh aise ḳhaak meñ

    ki ḳhud ḳhaak ho ga.e

    magar ye nannhī ghaas jo

    palī baḌhī hai dhuul meñ

    zamīn se lipaT ke

    muskurā rahī hai dhuul meñ

    vo hañs ke jaise kah rahī ho bībiyo

    yahī hai zindagī gur samajh sako to sochiyo

    koī kuchal bhī de to sar uThā ke phir jiyo

    yahāñ khaḌī maiñ sochtī thī

    sochtī huuñ bas yahī

    maiñ phuul jaisī kyoñ huī

    maiñ ghaas jaisī kyoñ nahīñ

    ajib aandhiyan chalin

    hawaen tez-tar huin

    duaen be-asar huin

    hasin jaan-gudaz phul

    oDh kar wo sari dhul

    shaKH se chimaT gae

    KHauf se lipaT gae

    magar wo shaKH jhuk gai

    zamin pe aa ke ruk gai

    phul shaKH se jhaDe

    zamin pe aise gir paDe

    ki barg barg rang rang

    aandhiyon mein kho gae

    mile kuchh aise KHak mein

    ki KHud hi KHak ho gae

    magar ye nannhi ghas jo

    pali baDhi hai dhul mein

    zamin se lipaT ke

    muskura rahi hai dhul mein

    wo hans ke jaise kah rahi ho bibiyo

    yahi hai zindagi ka gur samajh sako to sochiyo

    koi kuchal bhi de to sar uTha ke phir jiyo

    yahan khaDi main sochti thi

    sochti hun bas yahi

    main phul jaisi kyon hui

    main ghas jaisi kyon nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now