main purana hua
ziist ke dā.ere meñ muqayyad hue
ik zamāna huā
muskurāte hue
īstāda jo ashjār āñgan meñ the
kaT ga.e baT ga.e
dev-āsā jo saa.e the ruḳhsat hue
tā.ir-e-ḳhush-navā hijrateñ kar ga.e
har qadam hādisa
ik nayā hādisa
merī rag rag se tāqat churā le gayā
duur āfāq par TimTimāte hue
jo sitāre the ḳhvāboñ ke ojhal hue
ziist kā dā.era tang hone lagā
dā.ere se nikalne kī sab koshisheñ rā.egāñ ho ga.iiñ
ghar ke dīvār-o-dar
be-yaqīnī ke aalam meñ takne lage
aur phir der tak mujh ko takte rahe
log hañste rahe
ziist ke dā.ere meñ muqayyad hue ik zamāna huā
museum meñ mujhe ab sajā dījiye maiñ purānā huā
zist ke daere mein muqayyad hue
ek zamana hua
muskuraate hue
istada jo ashjar aangan mein the
kaT gae baT gae
dew-asa jo sae the ruKHsat hue
tair-e-KHush-nawa hijraten kar gae
har qadam hadisa
ek naya hadisa
meri rag rag se taqat chura le gaya
dur aafaq par TimTimate hue
jo sitare the KHwabon ke ojhal hue
zist ka daera tang hone laga
daere se nikalne ki sab koshishen raegan ho gain
ghar ke diwar-o-dar
be-yaqini ke aalam mein takne lage
aur phir der tak mujh ko takte rahe
log hanste rahe
zist ke daere mein muqayyad hue ek zamana hua
museum mein mujhe ab saja dijiye main purana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.